chhup nahin saktin kabhi sine mein baaten raaz ki ek shikari si nazar hai mere tir-andaz ki aaj kyon ahl-e-qafas se kar diya mujh ko juda par katarwane the main ne is liye parwaz ki yaad rakhna sham-e-mahfil ye mera zauq-e-sujud aarzi hai umr tere naz ki andaz ki nikhat-e-awara qaem tujh se hai bazm-e-chaman teri khamoshi sada hai saz-e-be-awaz ki hum samajh kar bhi na samjhe apne chaaragar ki baat pyar tha ya mehrbani thi nigah-e-naz ki bul-hawas nazron ko piri mein hai itna hi malal ud na sakne se jo haalat hoti hai ek baz ki ek shua si dekhta hun bujh rahi shama mein hai bina anjam mein bhi ek nae aaghaz ki ud gaya jate hi us se husn ka dilkash nikhaar aaine mein bas gai surat tere eajaz ki