dagh-e-junun dimagh-e-pareshan mein rah gaya daman mein khar chaak gareban mein rah gaya jab do qadam junun mein mera sath ho gaya phaila ke panw qais bayaban mein rah gaya abru-e-yar se jo bahut munfail hua munh dal kar hilal gareban mein rah gaya taqlid ban padi na tumhaari khiram ki taus ladkhada ke gulistan mein rah gaya aai bahaar aur na chhuta main ai junun kaisa tadap ke khana-e-zindan mein rah gaya tuda qaza ne nawak-e-jallad ka kiya main dher ho ke ganj-e-shahidan mein rah gaya kya hadisa pada mere yusuf par ai 'saba' dil gir ke un ki chah-e-zanakhdan mein rah gaya