daman hai mera dasht ka daman dusra

daman hai mera dasht ka daman dusra
meri tarah na phade gareban dusra

yak-rang hun main us gul-e-rana ke ishq mein
bulbul na hun ki dhundun gulsitan dusra

tha hi gham-e-firaq mila us mein dard-e-rashk
muflis ke ghar mein aaya ye mehman dusra

teri haya-e-chashm sa dekha nahin raqib
yan ehtiyaj kya hai nigahban dusra

uryan-tanon ke sar pe teri khak-e-ku rahe
dar-karwan nahin sar-o-saman dusra

kije zamir-e-khak ko aadam ki chhan agar
us shakl ka ban aawe na insan dusra

ju-ul-baqar rakhe ye shaikh-e-shikam-parast
ek khwan kha kahe hai kahan khwan dusra

sair-e-ajab rakhe hai teri jalwa-gah-e-naz
is lutf ka kahan hai khyaban dusra

naqd-e-dil us ko dena hai 'hasrat' sawab o farz
us zulf sa na hoga pareshan dusra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close