dard ka aabshaar jari hai tum bhi ho raat bhi tumhaari hai subh ki nind waqt ki khushbu tum thahar jao to hamari hai teri har baat jabr ki paband teri har baat ikhtiyari hai kis ne ye faisla kiya hoga kyun meri zindagi tumhaari hai sher ke dakhli tarannum mein ek sukun-khez be-qarari hai raat-din us ko yaad karta hun waqt par jis ki shahryari hai jagmagata hai aasman 'munir' aur andhera gali pe tari hai