dard ki surat mein wo umda sa tohfa de gaya bewafa duniya mein jine ka sahaara de gaya jism hai aazad lekin dil asir-e-ishq hai kuchh haqiqat de gaya wo kuchh fasana de gaya sari duniya ek din yun hi fana ho jaegi jalte jalte ek parwana ishaara de gaya apne mustaqbil ko raushan karne nikle the magar shahr ka suraj to aankhon ko andhera de gaya ho gae kafur sare gham ba-yak-lakht-o-nazar jab kabhi wo dad ummid-e-tamanna de gaya kis qadar viran hai us ke bina sara chaman sochta rahta hun wo kya le gaya kya de gaya raqs-farma zehn mein hai ab bhi wo surat 'sahar' jate jate apni yaadon ka khazana de gaya