dard-o-gham ya kisi KHushi ki taraf

dard-o-gham ya kisi khushi ki taraf
ek ho jaun main kisi ki taraf

gum na ho jaun in andheron mein
mujh ko le jao raushni ki taraf

ek surat ko dekhne ke baad
main ne dekha nahin kisi ki taraf

pyas dariyaon ki hai meri magar
ek qatra hai tishnagi ki taraf

wo to mahlon mein rahne wale hain
wo na dekhenge jhonpdi ki taraf

mujh ko ranjur hi nazar aai
jab bhi dekha hai zindagi ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close