dasht-e-baran ki hawa se phir hara sa ho gaya

dasht-e-baran ki hawa se phir hara sa ho gaya
main faqat khushbu se us ki taza-dam sa ho gaya

us ke hone se hua paida khayal-e-jaan-faza
jaise ek murda zamin mein bagh paida ho gaya

phir hawa-e-ishq se aashuftagi khuban mein hai
in dinon mein husn bhi aazar jaisa ho gaya

hai kahin mahsur shayad wo haqiqat ahd ki
jis ka rasta dekhte itna zamana ho gaya

gham raha hai haal kahna dil ka us but se 'munir'
jis ke gham mein apne dil ka haal aisa ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close