Dasne lage hain KHwab magar kis se boliye

dasne lage hain khwab magar kis se boliye
main jaanti thi pal rahi hun sanpoliye

bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki
aur hum ne rote rote dupatte bhigo liye

palkon pe kachchi nindon ka ras phailta ho jab
aise mein aankh dhup ke rukh kaise kholiye

teri barhana-pai ke dukh bantte hue
hum ne khud apne panw mein kante chubho liye

main tera nam le ke tazabzub mein pad gai
sab log apne apne azizon ko ro liye

khush-bu kahin na jae pa israr hai bahut
aur ye bhi aarzu ki zara zulf kholiye

taswir jab nai hai naya canwas bhi hai
phir tashtari mein rang purane na gholiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close