dayar-e-jism se sahra-e-jaan tak

dayar-e-jism se sahra-e-jaan tak
udun main khak sa aakhir kahan tak

kuchh aisa hum ko karna chahiye ab
utar aae zamin par aasman tak

bahut kam fasla ab rah gaya hai
bipharti aandhiyon se baadban tak

mayassar aag hai gul ki na bijli
andhere mein pade hain aashiyan tak

ye jangal hai nihayat hi pur-asrar
qadam rakhti nahin is mein khizan tak

wahin tak kyun rasai hai hamari
nuqush-e-pa zamin par hain jahan tak

nikal aao hisar-e-khamushi se
jo dil mein hai wo lao bhi zaban tak

yahan shaitan pa hai ek larza tari
nahin uthta charaghon se dhuan tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close