dayar-e-shauq mein koson kahin hawa bhi nahin umas hai aisa ki patta koi hila bhi nahin khafa nahin hai magar is ada ko kya kahiye pukarta hun to wo mud ke dekhta bhi nahin ye kis maqam pe tanhai saunpte ho mujhe ki ab to tark-e-tamanna ka hausla bhi nahin bada gila hai dil-e-gham-parast ko tum se wo dard us ko diya hai jo la-dawa bhi nahin kahan talash karen juz tere sukun-e-nazar ki is jahan mein koi tujh sa dusra bhi nahin basa hua hai mere dil mein bu-e-gul ki tarah wo dur dur hai mujh se magar juda bhi nahin kise sunaoge tum muzhda-e-sahar 'nasir' wo rat-jage hue ab koi jagta bhi nahin