dekho to jaan tum kun manate hain kab seti bolo khuda ke waste tuk lal lab seti mukhda tera hai jaan ye achraj tera ka chand rozana aur khub jhalakta hai shab seti zulfan kun kah ki dil kun karen aap mein sin dur ye pech-o-tab un kun hai us ke tab seti dast-e-salam sar ke upar naqsh-e-pa hai ab har-chand khak-e-rah hua hun adab seti pani mein dub aag mein jal kar maro pe ek aashiq na ho pukar ke kahta hun sab seti harjaiyo har ek sin lalach nahin hai khub hai bhik mang khana bhala is kasab seti bandha hai barg-e-tak ka kyun sar pe sehra kiya 'abru' ka byah hai bint-ul-enab seti