dida-e-jauhar se bina ho gaya aaina mahw-e-tamasha ho gaya dekh kar aaina-e-zanu tera aaina mahw-e-tamasha ho gaya baad-e-mojid aalam-e-ijad mein aaina mahw-e-tamasha ho gaya kar diya hairan jise dikhlai shakl aaina mahw-e-tamasha ho gaya wo halab pahuncha to sun lena ye haal aaina mahw-e-tamasha ho gaya pusht-bar-diwar hai teri huzur aaina mahw-e-tamasha ho gaya samne se tere talta hi nahin aaina mahw-e-tamasha ho gaya shana hai dil chaak mashshata hai dang aaina mahw-e-tamasha ho gaya dekh kar us ru-e-rangin ki bahaar aaina mahw-e-tamasha ho gaya tere aage chashm-e-ashiq ki tarah aaina mahw-e-tamasha ho gaya 'mehr' ko sakta hai ya ai rashk-e-mah aaina mahw-e-tamasha ho gaya mahfil-e-ishrat mein mah-ruyon ke 'mehr' aaina mahw-e-tamasha ho gaya