dil bahalne ka jahan mein koi saman na hua

dil bahalne ka jahan mein koi saman na hua
apna hamdard kabhi aalam-e-imkan na hua

shikwa-e-hijr na bhule se bhi aaya lab par
ru-ba-ru un ke main khud-karda pasheman na hua

ham-nashin puchh na haal-e-dil-e-nakaam-e-azal
yahi hasrat rahi pura koi arman na hua

be-khudi mein ye hai aalam tere diwanon ka
fasl-e-gul aai magar chaak gareban na hua

koi kya jaane ki kya lutf khalish hai hasil
mera hi dil hai ki minnat-kash-e-darman na hua

yun to hamdard zamana tha ba-zahir lekin
kisi surat se ilaj-e-gham-e-pinhan na hua

be-dhadak jaane ki himmat na hui mahshar mein
munh chhupane ke liye dast-ba-daman na hua

dil bahalta bhi to kis tarah bahalta shab-e-gham
saz-o-saman na hua naghma-ehirman na hua

pursish-e-haal pe aankhon mein bhar aae aansu
aise majbur hue zabt bhi aasan na hua

zarre zarre se ayan husn ki ranai hai
wo hasin tu hai ki pardon mein bhi pinhan na hua

main tha mushtaq tere jalwe ka ai maya-e-husn
rah ke parde mein bhi to shoala-e-uryan na hua

chain se qaid tayyun mein basar ki ai 'shauq'
dil bhi jamiyat-e-khatir se pareshan na hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close