dil bhi aap ko bhul chuka hai sahab aap se parda kya hai kahne sunne ki baaten hain kaun kise apna sakta hai ishq mein kya sachcha kya jhuta ye to umron ka rona hai haal hamara puchhne wale kya batlaen sab achchha hai kya kya baat na ban sakti thi lekin ab kya ho sakta hai ab bhi dil ke darwaze par ek diya jalta rahta hai kab tak sath nibhata aakhir wo bhi duniya mein rahta hai duniya par kyun dosh dharen hum apna dil bhi kab apna hai