dil ka dayar-e-KHwab mein dur talak guzar raha

dil ka dayar-e-khwab mein dur talak guzar raha
panw nahin the darmiyan aaj bada safar raha

ho na saka hamein kabhi apna khayal tak nasib
naqsh kisi khayal ka lauh-e-khayal par raha

naqsh-garon se chahiye naqsh o nigar ka hisab
rang ki baat mat karo rang bahut bikhar raha

jaane guman ki wo gali aisi jagah hai kaun si
dekh rahe ho tum ki main phir wahin ja ke mar raha

dil mere dil mujhe bhi tum apne khawas mein rakho
yaran tumhaare bab mein main hi na mo'tabar raha

shahr-e-firaq-e-yar se aai hai ek khabar mujhe
kucha-e-yaad-e-yar se koi nahin ubhar raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close