dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein ek aaina tha tut gaya dekh-bhaal mein duniya kare talash naya jam-e-jam koi us ki jagah nahin mere jam-e-sifal mein aazurda is qadar hun sarab-e-khayal se ji chahta hai tum bhi na aao khayal mein duniya hai khwab hasil-e-duniya khayal hai insan khwab dekh raha hai khayal mein ahl-e-chaman hamein na asiron ka tan den wo khush hain apne haal mein aham apni chaal mein 'simab' ijtihad hai husn-e-talab mera tarmim chahta hun mazaq-e-jamal mein
Please share if you liked this!!!