dil ki duniya hai musibat se bhari rahti hai

dil ki duniya hai musibat se bhari rahti hai
phir bhi har shakh tamanna ki hari rahti hai

jaane kab aa ke wo darwaze pe dastak de de
zindagi maut ki aahat se dari rahti hai

khwab mein bhi nahin dekha kabhi chehra us ka
dil ke aaine mein sunte hain pari rahti hai

main sikandar hun na sufi na qalandar yaro
phir bhi raushan meri aashufta-sari rahti hai

ek hi pal mein palatti hai lakiron jaisi
jaise har sans hatheli pe dhari rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close