dil o dimagh mein ehsas-e-gham ubhaar diya ye kis ne aaj mujhe muzhda-e-bahaar diya tere jilau mein badhi hai chaman ki shadabi gulon ka rang tere husn ne nikhaar diya zara labon ke tabassum se bazm garmaen hamein to aap ki aankhon ki chup ne mar diya wo bar bar mujhe mehrban nazar aae mujhe fareb nigahon ne bar bar diya tumhi kaho tumhein kis ki nigah le dubi mujhe to khair meri sadgi ne mar diya ajib baat hai dil dub dub jata hai ajib raat hai bujhta hai bar bar diya hamein wo sahib-e-alam dahr mein 'shahzad' zara hanse to zamane ka gham nikhaar diya