dil phir hai justuju mein pareshan bura hua mushkil nazar ki ho gai aasan bura hua achchha hua ya dard ka darman bura hua hona kisi ka husn pe nazan bura hua taskin mil rahi hai tasawwur se raat din apna raha na koi nigahban bura hua machle hue shabab ke aasar dekh kar hushiyar ho gaya gham-e-nadan bura hua sach puchhiye to husn ke har jalwa-zar mein insan-farosh din ka iman bura hua duniya parakh chuke hain mahasin hayat ke niyyat mein farq aaya ki insan bura hua bas aabru ka mol hai jine mein jis tarah khushbu gai ki rang-e-gulistan bura hua aakhir supurd-e-khak hua khaksar bhi mitti mein mil gaya tera ehsan bura hua samjha tha jis ko ghair kisi din nigah ne wo dard dil mein ho gaya mehman bura hua ek gham se jazb-e-'shad' ke dariya utar gae sahil-nawaz ho gaya tufan bura hua