dil tha pahlu mein to kahte the tamanna kya hai ab wo aankhon mein talatum hai ki dariya kya hai shauq kahta hai ki har jism ko sajda kije aankh kahti hai ki tu ne abhi dekha kya hai tut kar shakh se ek barg-e-khizan-amada sochta hai ki guzarta hua jhonka kya hai kya ye sach hai ki khizan mein bhi chaman khilte hain mere daman mein lahu hai to mahakta kya hai dil pe qabu ho to hum bhi sar-e-mahfil dekhen wo kham-e-zulf hai kya surat-e-zeba kya hai thahro aur ek nazar waqt ki tahrir padho reg-e-sahil pe ram-e-mauj ne likha kya hai koi rahbar hai na rasta hai na manzil 'tausif' hum ki gard-e-rah-e-sar-sar hain hamara kya hai