dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to

dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to
sahar bhi rup dikhaegi shab guzaro to

faza ke sine mein naghmon ke lai utaro to
usi ada se zara phir mujhe pukaro to

mere ghamon ke dhundalke bhi chhat hi jaenge
tum apne gesu-e-shab-rang ko sanwaro to

kahan gae mujhe tarikiyon mein uljha kar
hayat-e-rafta ke lamho zara pukaro to

khizan-rasida fazaon ko rooge kab tak
bahaar gosh-bar-awaz hai pukaro to

phir is ke baad sahar hi sahar hai ai 'arshad'
rukh-e-hayat ke tewar zara nikhaaro to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close