din-bhar ki daud raat ke auham waswase thandi saloni sham ki khush-bu mein dhal gae kirdar qatl karne lage log yun ki hum apne hi ghar mein baith ke aawara ban gae raqs-e-nasim-e-maut tha har-chand mukhtasar dariya ke munh pe phir bhi uchhal aae aable nazuk hai misl-e-mah magar surmai badan ai jaan tujhe ye kis ne diye ghusl aag ke