do aankhon se kam se kam ek manzar mein

do aankhon se kam se kam ek manzar mein
dekhun rang-o-nur baham ek manzar mein

apni khoj mein sargardan be-samt hujum
tanhai deti hai janam ek manzar mein

titli ko rukhsar pe baitha chhod aae
hairat ko darkar the hum ek manzar mein

lamha lamha bharte jaen khauf ka rang
gahri sham aur tez qadam ek manzar mein

ghat mein baitha koi danish-war mujh ko
gar deta hai roz raqam ek manzar mein

ab jo apna saya dhundhta phirta hai
ja nikle the bhul ke hum ek manzar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close