dosti kuchh nahin ulfat ka sila kuchh bhi nahin

dosti kuchh nahin ulfat ka sila kuchh bhi nahin
aaj duniya mein ba-juz zehn-e-rasa kuchh bhi nahin

patte sab gir gae pedon se magar kya kahiye
aisa lagta hai hamein jaise hua kuchh bhi nahin

kal ki yaadon ki jalane ko jalaen mishal
ek tarik udasi ke siwa kuchh bhi nahin

dhundhna chhod do parchhain ka maskan yaro
chahe jis tarah jiyo is mein naya kuchh bhi nahin

ek burotas se shikayat ho to dil dukhta hai
ho jo har ek se shikwa to gila kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close