dua ham-zad ho sakti diya hamraaz ho sakta main virani pe itna to asar-andaz ho sakta ye meri khamushi is intiha ki khamushi hoti kisi bhi sham ka main nuqta-e-aghaz ho sakta main betabana un galiyon mein phirta ye mera haq tha meri dastak pe shahr-e-khwab ka dar baz ho sakta ye din aur raat kis jaanib ude jate hain sadiyon se kahin rukte to main bhi shamil-e-parwaz ho sakta kam-az-kam khak-o-khun ki gum-shuda kadiyan hi mil jatin sar-e-duniya ye dil itna to dar-andaz ho sakta