duniya mein kya kisi se sarokar hai hamein tujh bin to apni zist hi dushwar hai hamein tu hi nahin to jaan teri jaan ki qasam ye jaan kis ke waste darkar hai hamein girte hain dukh se teri judai ke warna khair change-bhale hain kuchh nahin aazar hai hamein mar bach ke din to guzre hai jun-tun par is tarah nazron mein nur-e-mehr shab-e-tar hai hamein phir raat ki na puchh haqiqat ki subh tak aah-o-fughan-o-dida-e-khunbar hai hamein ho kar udas bagh mein jawen kabhu to wan nazron ke bich har rag-e-gul khar hai hamein din ka wo haal raat ka wo kuchh bayan hai sair-e-chaman so dil se kuchh ai yar hai hamein tis par bhi hum se milne ka inkar hai tujhe jis mein teri raza su-e-iqrar hai hamein shikwe bhare hain dil mein wa-lekin 'muhibb'-e-man kab tere aage taqat-e-guftar hai hamein