ek be-panah raat ka tanha jawab tha chhota sa ek diya jo sar-e-ehtisab tha rasta mera tazad ki taswir ho gaya dariya bhi bah raha tha jahan par sarab tha wo waqt bhi ajib tha hairan kar gaya wazeh tha zindagi ki tarah aur khwab tha pahle padaw se hi use lautna pada lambi masafaton se jise ijtinab tha phir be-numu zamin thi aur khushk the shajar be-abr aasman ka chalan kaamyab tha ek be-qayas baat se mansub ho gaya phaila hua huruf mein jo iztirab tha apni nigah par bhi karun e'tibar kya kis man par kahun wo mera intikhab tha