ek KHayal-afroz mauj aai to thi

ek khayal-afroz mauj aai to thi
main ne apni satr mahkai to thi

tum nahin the yaad thi har su muhit
main nahin thi meri tanhai to thi

dar-ba-dar be-pairahan tha khwab-e-ishq
main ne us ko aankh pahnai to thi

phir mujhe us ne kaha sab jhut hai
ek lamhe ko main ghabrai to thi

dur tak bichhta chala jata tha shauq
kuchh nahin tha dasht-paimai to thi

kyun mujhe dariya bulata hai qarib
us ki aankhon mein bhi gahrai to thi

kyun zamin-o-asman hain raqs mein
aur kya tha ek angdai to thi

lamha bhar ko hi dhala tha aaftab
lamha bhar ko rah dhundlai to thi

main ki haq par dat gai thi 'rashida'
us ki baaton mein bhi sachchai to thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close