ek KHwab ke asar mein kai din guzar gae

ek khwab ke asar mein kai din guzar gae
phir yun hua ki aankh khuli hum bikhar gae

jab panw ke nishan nishani ki tarah the
tab log kis dagar pe chale aur kidhar gae

kal aankh ke shajar se kai phul yaad ke
palkon se ho ke dil ki sadak khub bhar gae

ai dukh teri tawil rifaqat ke baad bhi
khud se mile hain log to kitne nikhar gae

is bar phul dhup se naraaz the aziz
saya-farosh jitne bhi the be-hunar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close