ek paikar yun chamak uTTha hai mere dhyan mein

ek paikar yun chamak uttha hai mere dhyan mein
koi jugnu ud raha ho jis tarah tufan mein

har bagula bastiyon ki samt lahrane laga
aashna chehre bhi ab aate nahin pahchan mein

kya qayamat hai ki koi puchhne wala nahin
zindagi tanha khadi hai hashr ke maidan mein

waqt padte hi hue ru-posh sab halqa-ba-gosh
ek yahi khubi to hai is daur ke insan mein

aaine yaadon ke main ne tod dale the magar
chand chehre phir ubhar aae mere wijdan mein

log meri maut ke khwahan hain 'afzal' kis liye
chand ghazlon ke siwa kuchh bhi nahin saman mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close