ek tamasha hum anokha dekhte

ek tamasha hum anokha dekhte
khud ko hansta sab ko rota dekhte

sar se pa tak us ko pura dekhte
khud ko jab aadha adhura dekhte

khud tamasha ban gae duniya mein hum
warna duniya ka tamasha dekhte

kyun bhala ghar lautte hum dasht se
kyun bhala dekha-dikhaya dekhte

wusaten milti agar binai ko
dasht se ghar ghar se sahra dekhte

pusht par bauchhaar tiron ki hui
warna hum qatil ka chehra dekhte

kash ho jate kisi mele mein gum
aur phir ji bhar ke mela dekhte

ek hi thi zindagi sayyad 'sarosh'
kuchh to kar ke ulta sidha dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close