ek to KHud apni ghamgini

ek to khud apni ghamgini
us par un ki nukta-chini

apni shirini bhi talkhi
un ki talkhi bhi shirini

khul jaega ye bhi ek din
kis ne kis ki rahat chhini

kafi hai kya ye kah dena
sab haalat ki hai sangini

kar nahin sakti hum ko qail
sirf ibarat ki rangini

hai ye wafa wo jurm-e-mohabbat
hai jis ke padash yaqini

kya malum kisi ki mushkil
khuddari hai ya khud-bini

aap ki ra-e-ali kya hai
din hai behtar ya be-dini

kya kahna us hosh-o-khirad ka
sujhti hai jis ki shauqini

apne daman ko bhi dekhen
ho manzur jinhen gul-chini

achchhe achchhon ko ai hairat
le dubi hai be-aini


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close