faraaz-e-ishq teri intiha nahin hue hum kisi pe qarz the lekin ada nahin hue hum teri gali ke siwa aur kya thikana hai yahin milenge agar lapata nahin hum tumhaare baad bada farq aa gaya hum mein tumhaare baad kisi par khafa nahin hue hum talluqat mein sharten kabhi nahin rakkhin kabhi kisi ke liye masala nahin hue hum abhi hamari mohabbat nahin khuli tum par abhi tumhaare maraz ki dawa nahin hue hum