farq kuchh to chahiye aghyar se

farq kuchh to chahiye aghyar se
sirr-e-ulfat hum chhupaen yar se

apni aankhon se agar tashbih dun
ashk tapke rauzan-e-diwar se

baat un ki mo'tabar hai sach kaha
haal mera puchhiye aghyar se

us ki choti mein nahin mubaf surkh
uthe hain shole dahan-e-mar se

dhup mein baithun ki khajlat se udu
bhag jaen saya-e-diwar se

pas se tere uthati ghair ko
zor ho sakta jo chashm-e-zar se

chhutti hain munh pe kya mahtabiyan
wasl ke din saya-e-diwar se

sau tarah ki fikr mein taskin' pade
dil laga kar us but-e-ayyar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close