fasla jab mujhe ehsas-e-thakan baKHshega

fasla jab mujhe ehsas-e-thakan bakhshega
panw ko phul bhi kanton ki chubhan bakhshega

kitne suraj isi jazbe se ugae main ne
koi suraj to mere ghar ko kiran bakhshega

chahta hun ki kabhi mujh ko bhi bistar ho nasib
jaane kis roz khuda mujh ko badan bakhshega

log kahte hain ki sahra ko gulistan kah do
us ke badle mein wo chandi ke saman bakhshega

be-libasi ka karen bhi to gila kis se karen
zinda lashon ko yahan kaun kafan bakhshega

sirf do-chaar darakhton pe qanaat kaisi
wo sakhi hai to mujhe sara chaman bakhshega

chhin kar mujh se wo lamhon ki latafat 'azar'
zehn-e-asuda ko sadiyon ki thakan bakhshega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close