fazaen khushk thin ghar ki to bahar kyon nahin dekha darichon se wo hangamon ka manzar kyon nahin dekha zamin ke khushk lab ye mausamon ka zahr pite hain to tum ne aasmanon ka samundar kyon nahin dekha fazaon ki kasak se kuchh taqaze bhi badalte hain hawas lamhat ko tum ne kuchal kar kyon nahin dekha suna ye hai samundar mein jazire bhi numayan the hata kar baadban tum ne thahar kar kyon nahin dekha jo ghar mein chhod aaya tha kafan odhe hue rishte na jaane us ne basti ko palat kar kyon nahin dekha suna hai barf se bhi ungliyan logon ki jalti hain to tum ne sard angaron ko chhu kar kyon nahin dekha janab-e-'rind' tum to pujte aae ho patthar ko jo darwaze pe chaspan hai wo patthar kyon nahin dekha