fazaon mein kuchh aisi khalbali thi kaleja tham kar wahshat chali thi kabhi us ki jawani manchali thi kabhi duniya bhi sanche mein dhali thi yahi aaina-dar-aina ulfat kabhi aks-e-khafi naqsh-e-jali thi na chhoda sard jhonkon ne wafa ko jo shakh-e-dard ki tanha kali thi bigada kis ne hai tab-e-jahan ko kabhi ye rind-mashrab bhi wali thi muhit hangama-e-afaq par hai sada-e-dard jo dil mein pali thi ghanimat jaaniye phir nim-raushan charagh-e-rah se apni gali thi bura ho aagahi ka zist warna guzar jati buri thi ya bhali thi hamin ne 'fauq' chaha zindagi ko hamin se kisht-e-gham phuli-phali thi