fikr-e-tamir-e-ashiyan bhi hai

fikr-e-tamir-e-ashiyan bhi hai
khauf-e-be-mehri-e-khizan bhi hai
khak bhi ud rahi hai raston mein
aamad-e-subh ka saman bhi hai
rang bhi ud raha hai phulon ka
ghunche ghunche sharar-fishan bhi hai
os bhi hai kahin kahin larzan
bazm-e-anjum dhuan dhuan bhi hai
kuchh to mausam bhi hai khayal-angez
kuchh tabiat meri rawan bhi hai
kuchh tera husn bhi hai hosh-ruba
kuchh meri shokhi-e-bayan bhi hai
har nafas shauq bhi hai manzil ka
har qadam yaad-e-raftagan bhi hai
wajh-e-taskin bhi hai khayal us ka
had se badh jae to giran bhi hai
zindagi jis ke dam se hai 'nasir'
yaad us ki azab-e-jaan bhi hai
This is a great shahid anjum shayari. True lovers of tabiyat ki shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ramzan shayari in english. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close