fikr hai mah ke jo shahr-badar karne ki

fikr hai mah ke jo shahr-badar karne ki
hai saza tujh pe ye gustakh nazar karne ki

kah hadis aane ki us ke jo kiya shadi marg
nama-bar kya chali thi hum ko khabar karne ki

kya jali jati hai khubi hi mein apni ai shama
kah patange ke bhi kuchh sham-o-sahar karne ki

ab ke barsat hi ke zimme tha aalam ka wabaal
main to khai thi qasam chashm ke tar karne ki

phul kuchh lete na nikle the dil-e-sad-para
tarz sikhi hai mere tukde jigar karne ki

un dinon nikle hai aaghushta ba-khun raaton ko
dhun hai nale ko kaso dil mein asar karne ki

ishq mein tere guzarti nahin bin sar patke
surat ek ye rahi hai umr basar karne ki

karwani hai jahan umr aziz apni 'mir'
rah hai darpesh sada us ko safar karne ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close