firaq ek nai surat nikal to sakti hai

'firaq' ek nai surat nikal to sakti hai
ba-qaul us aankh ke duniya badal to sakti hai

tere khayal ko kuchh chup si lag gai warna
kahaniyon se shab-e-gham bahal to sakti hai

urus-e-dahr chale kha ke thokaren lekin
qadam qadam pe jawani ubal to sakti hai

palat pade na kahin us nigah ka jadu
ki dub kar ye chhuri kuchh uchhal to sakti hai

bujhe hue nahin itne bujhe hue dil bhi
fasurdagi mein tabiat machal to sakti hai

agar tu chahe to gham wale shadman ho jaen
nigah-e-yar ye hasrat nikal to sakti hai

ab itni band nahin gham-kadon ki bhi rahen
hawa-e-kucha-e-mahbub chal to sakti hai

kade hain kos bahut manzil-e-mohabbat ke
mile na chhanw magar dhup dhal to sakti hai

hayat lau tah-e-daman-e-marg de utthi
hawa ki rah mein ye shama jal to sakti hai

kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai warna
kisi se chhut ke tabiat sambhal to sakti hai

azal se soi hai taqdir-e-ishq maut ki nind
agar jagaiye karwat badal to sakti hai

gham-e-zamana-o-soz-e-nihan ki aanch to de
agar na tute ye zanjir gal to sakti hai

sharik-e-sharm-o-haya kuchh hai bad-gumani-e-husn
nazar utha ye jhijak si nikal to sakti hai

kabhi wo mil na sakegi main ye nahin kahta
wo aankh aankh mein pad kar badal to sakti hai

badalta jae gham-e-rozgar ka markaz
ye chaal gardish-e-ayyam chal to sakti hai

wo be-niyaz sahi dil mata-e-hech sahi
magar kisi ki jawani machal to sakti hai

teri nigah sahaara na de to baat hai aur
ki girte girte bhi duniya sambhal to sakti hai

ye zor-o-shor salamat teri jawani bhi
ba-qaul ishq ke sanche mein dhal to sakti hai

suna hai barf ke tukde hain dil hasinon ke
kuchh aanch pa ke ye chandi pighal to sakti hai

hansi hansi mein lahu thukte hain dil wale
ye sar-zamin magar lal ugal to sakti hai

jo tu ne tark-e-mohabbat ko ahl-e-dil se kaha
hazar narm ho ye baat khal to sakti hai

are wo maut ho ya zindagi mohabbat par
na kuchh sahi kaf-e-afsos mal to sakti hai

hain jis ke bal pe khade sarkashon ko wo dharti
agar kuchal nahin sakti nigal to sakti hai

hui hai garm lahu pi ke ishq ki talwar
yun hi jilae ja ye shakh phal to sakti hai

guzar rahi hai dabe panw ishq ki dewi
subuk-rawi se jahan ko masal to sakti hai

hayat se nigah-e-wapsin hai kuchh manus
mere khayal se aankhon mein pal to sakti hai

na bhulna ye hai takhir husn ki takhir
'firaq' aai hui maut tal to sakti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close