gale milen to bana rahta hai guman diwar ye aur baat ki hoti nahin ayan diwar tawaf karte ho apna tumhein nahin malum miyan-e-marhala-e-agahi hai jaan diwar rawan-dawan jo uthe hum kashan-kashan laute zamin thi ek rukawat to aasman diwar hai soch saya khayal-o-nazar pe chhaya hua hain reza-reza fasilen dhuan-dhuan diwar badhun to kaise badhun kis ke dar pe dastak dun qadam qadam pe ahate jahan tahan diwar chhupae rakhte hain be-chehragi kisi surat uthae phirte hain zehnon ke darmiyan diwar