gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega

gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega
be-takalluf dagh-e-mah mohr-e-dahan ho jaega

zohra gar aisa hi sham-e-hijr mein hota hai aab
partaw-e-mahtab sail-e-khanuman ho jaega

le to lun sote mein us ke panw ka bosa magar
aisi baaton se wo kafir bad-guman ho jaega

dil ko hum sarf-e-wafa samjhe the kya malum tha
yani ye pahle hi nazr-e-imtihan ho jaega

sab ke dil mein hai jagah teri jo tu raazi hua
mujh pe goya ek zamana mehrban ho jaega

gar nigah-e-garm farmati rahi talim-e-zabt
shoala khas mein jaise khun rag mein nihan ho jaega

bagh mein mujh ko na le ja warna mere haal par
har gul-e-tar ek chashm-e-khun-fishan ho jaega

wae! gar mera tera insaf mahshar mein na ho
ab talak to ye tawaqqoa hai ki wan ho jaega

faeda kya soch aakhir tu bhi dana hai 'asad'
dosti nadan ki hai ji ka ziyan ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close