gard-o-ghubar yun badha chehra bikhar gaya malbus tha main jis mein labaada bikhar gaya kal raat jugnuon ki samundar pe bhid thi lagta tha raushni ka jazira bikhar gaya dahshat thi is qadar ki manazir pighal gae gir kar badan se khud mera saya bikhar gaya manzar mein aur nazar mein tasadum tha raat bhar jab bhi uthi nigahen daricha bikhar gaya jaan se zyaada rakkha jise ehtiyat se wirse mein jo mila tha wo tohfa bikhar gaya tufan-e-yaad-e-raftagan itna shadid tha ashkon se meri aankh ka tara bikhar gaya