gareban hath mein hai panw mein sahra ka daman hai

gareban hath mein hai panw mein sahra ka daman hai
bas ab panw hain apne aur sar-e-khar-e-mughilan hai

hawa-e-dasht-e-wahshat hum ko le udti hai basti se
hamara unsur-e-khaki magar reg-e-bayaban hai

sabaq ko dekhta hun raat bhar aur phir ulajhta hun
mutawwal mukhtasar wo sharh-e-sher-e-zulf-e-pechan hai

jalata hai ye parwanon ko wasf-e-shoala-ruyan se
zaban-e-khama bhi ab to zaban-e-sham-e-sozan hai


This is a great shokh shayari. True lovers of insaan ki pehchan shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore parwana shayari. Please share if you liked this!!!