ghair ki aag mein koi bhi na jalna chahe

ghair ki aag mein koi bhi na jalna chahe
ek parwana jo ye rit badalna chahe

dil ki har gahre samundar mein utarna chahe
tez-rau umr ki dam-bhar na thaharna chahe

qismat aisi ki jo apne the hue begane
aur dil wo jo kisi se na bichhadna chahe

zarra zarra jise ek umr sameta hai wo zat
sirf ek thes pahunchne pe bikharna chahe

zakhm har sang-e-malamat abhi taza hai ye dil
phir usi ku-e-malamat se guzarna chahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close