gham ka sahra na mila dard ka dariya na mila hum ne marna bhi jo chaha to wasila na mila muddaton baad jo aaine mein jhanka hum ne itne chehre the wahan apna hi chehra na mila qatl kar ke wo ghanimon ko jo wapas aae apne hi ghar mein unhen koi shanasa na mila hum bhi ja nikle the suraj ke nagar mein ek din wo andhera tha wahan apna bhi saya na mila tishna-lab yun to zamane mein kabhi hum na rahe pyas jo dil ki bujha deta wo dariya na mila mil gae hum ko sanam-khanon mein kitne hi khuda dhundne par koi banda hi khuda ka na mila aap ke shahar mein pedon ka nahin koi shumar do ghadi rukne ko lekin kahin saya na mila sabz patton se mila hum ko bahaaron ka suragh shakh-e-nazuk pe magar koi shagufa na mila mustahaq hum teri rahmat ke na hone pae teri duniya mein koi uzr khata ka na mila khud-numai ke bhi is daur mein hum ko 'sahir' koi qatil na mila koi masiha na mila