ghane arman gadhi aarzu karne se milta hai khuda jade ki raaton mein wuzu karne se milta hai hawa ki dhun darakhton ka sukhan naghme hain lekin fan dilon ke chaak mein aankhen rafu karne se milta hai khuda un ko shuur-e-tishnagi deta to achchha tha inhin pyason mein kya shaghl-e-subu karne se milta hai yaqin duniya nahin karti magar hai tajraba mera sukun to but-kade mein haw-hu karne se milta hai badalte rang zakhmon ke hain nile surkh aur kale falak ko bhi ye gardish chaar-su karne se milta hai ufuq par qumqumon mein qumqume zam hote jate hain maza aankhon ka aankhen ru-ba-ru karne se milta hai