ghar ka rasta jo bhul jata hun

ghar ka rasta jo bhul jata hun
kya bataun kahan se aata hun

zehn mein khwab ke mahal ki tarah
khud hi banta hun tut jata hun

aaj bhi sham-e-gham! udas na ho
mang kar main charagh lata hun

main to ai shahr ke hasin rasto
ghar se hi qatl ho ke aata hun

roz aati hai ek shakhs ki yaad
roz ek phul tod lata hun

hae gahraiyan un aankhon ki
baat karta hun dub jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close