
ghataen ghirti hain bijli kadak ke girti hai ye kis ki pyas hai jo be-qarar phirti hai ajib khauf ki basti hai ye diya hi nahin hawa bhi khwahish-e-dil ko chhipae phirti hai nazar na pher nadamat ko sair hone de ye badli dil mein kahan roz roz ghirti hai samet leti hai har shai ko apne paikar mein shabih kis ki hai jo putliyon mein phirti hai haweli chhodne ka waqt aa gaya 'arshad' sutun larazte hain aur chhat ki mitti girti hai
This is a great kadak shayari hindi. Please share if you liked this!!!