ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale

ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale
zamin ko aasman jaisa banate hain ghazal wale

badal dete hain kharon ki khalish gul ki nazakat se
zaban shabnam ki shoalon ko sikhate hain ghazal wale

kabhi pahle ghazal un ki kabhi khud peshtar is se
kisi ke dida-o-dil mein samate hain ghazal wale

agar aahon se apni koi misra gadh bhi lete hain
to ashkon se girah us par lagate hain ghazal wale

wufur-e-shauq ki majburiyan bhi kaisi kaisi hain
kisi ka nam likh likh kar mitate hain ghazal wale

zamin zarkhez hai ye 'mir' 'ghaalib' aur 'momin' ki
ki jis mein fasl-e-taza ab ugate hain ghazal wale

ba-ijz-e-ilm-o-danish jao un ki bazm mein 'tarzi'
ghazal ki sher-bandi par bulate hain ghazal wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close